Saturday, June 19, 2010

shayari 2









Ay Dost Kabhi Ziker-E-Judai Na Karna,
Mere Barose Ko Ruswa Na Karna,
Dil Mai Tere Koi Aur Bas Jaye Tu Bata Dena,
Mere Dil Mai Reh Kar Bewafai Na Karna.







Guzare Hai Ishque Me Aise Mukam Se,
Guzare Hai Ishque Me Aise Mukam Se,
Ki Nafrat Si Ho Gayi Hai Mohabbat Ke Naam Se.






Unki Aankhe Hume Apni Zindagi Lagti Hai
Unki Saanse Hume Apni Bandagi Lagti Hai
Ashiqi Mein Unki Humara Haal Kuch Iss Tarah Hua Hai
Ki Ab Toh Unki Nafrat Bhi Humme Mohabbat Si Lagti Hai






Jiski Yaad Me Sare Jahan Ko Bhul Gaye
Suna Hai Aajkal Vo Humara Naam Tak Bhul Gaye
Kasam Khai Thi Jisne Sath Nibhane Ki Yaaro
Aaj Wo Humari Lash Par Aana Bhul Gaye





Qadam Qadam Par Baharon Ne Sath Chod Diya,
Pada Jab Waqt To Apno Ne Sath Chod Diya.
Qasam Khaii Thi In Sitaron Ne, Sath Dene Ki ,
Subah Hote Hi Sitaron Ne Bhi Sath Chod Diya..






Who aate to hain magar tan se nahi,
who bhethe to hain magar man se nahi,
kaun kehta hai ki who pyaar nahi karte,
karte to hain magar humse nahi.





Teri Dosti ne diya “SAKOON” itna,
Ke tere baad koi “ACHA” na lagey,
Tujhe karni hai “BEWAFAI” to is ada se kar,
Ke tere baad koi “BEWAFA” na lagey.





Todna hota tou rishta hum na banate.........................
Umeed nahi hoti tou hum sapney na
sajaate............
aitbaar kiya humne aapke wafa pe..............................
bharosa na hota tou
dil apke haath mai na thamate !

No comments:

Post a Comment